Friday, July 5, 2024

Sayyaduna Hazrat Siddiqui Akbar ( رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ )

Sayyaduna Hazrat Abubakar Siddique (رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ)

video Link 🔗🖇️ click Here To Watch 

Sayyaduna Hazrat Abubakar Siddique ٭ؓ
Islam Ke Pehle Khalifa E Raashid, Aur Ye Ashrah E Mubashra Main Bhi Shamil Hain, Khatamul Ambiya Muhammad E Mustafa ﷺ Ke Awwalin Jaanaseen Shahaabi, Aur Huzoor Paak ﷺ Ke Hijrat E Madina Ke Sathi Aur Yaar E Ghaar.
Ahle Sunnat Wal Jamat Ke Nazdeek Abubakar ٭ؓ Ambiyaa E Kiram Aur Rasoolon Ke Baad Insanon Main Sab Se Afzal Insan, Shahaba Main Iman W Akhlaq Main Sab Se Bertar Aur Ummul Momeenin Maa'n Aisha Ke Walid Aur Nabi Paak ﷺ Ke Sab Se Pyare Shahabi They, Ummul Momeenin ٭ؓ Ke Naam Ke Sath Siddique Ka Laqab Lagaya Jata Hai Jise Hazrat Abubakar Siddique ٭ؓ Ki Tasdeek W Taaid ki Bina Par Paigambar E Islam ﷺ Ne Diya Tha. 




Calligraphic seal featuring Abu Bakr ٭ؓ's name,

Jaey Pedaish:-
Abubakar Siddique ٭ؓ Makka Sharif Main Paida Hue ( 3 Shawwal 51 - 27 October 573 AD )


 Daur E Jhahiliyat Main Unka Shumar Matmool Afraad Main Hota Tha, Jab Aap ﷺ Ne Inko Islam Qabool Krne Ki Dawat Di To Inhon Ne Bagar Aage Pichhe Dekhe Dawat Qabool Kar Liya Aur Yoon Woh Aazad Baalig Mardon Main Sab Se Pehle Islam Qabool Karne Waale Kehlaye. 
Islam Ko Qabool Krne Ke Baad 13 Saal Makka Sharif Main Guzare Jo Sakht Musibaton Aur Taklifon Ka Daur Tha. Phir Baad Main Aap ﷺ Ki Rafaqat Main Makkah se Yashrib ( Madina Sharif ) Hijrat Ki, Jung E Badr Aur Digar Tamam Jung E Islam Main Huzoor paak ﷺ Ke Sath Rahe. 

Muhammadur Rasool'Allah ﷺ Ki Wafat:-
Huzoor Paak ﷺ Jab Bimari Main Mubtala Hue To Hazrat Abubakar Siddique ٭ؓ Ko Hukm Diya Ke Wo Masjid E Nabvi ( Madina Sharif ) Main Imamat Karein. 12 Rabi Ul Awwal San 11 Hijri Peer Ke Din Jab Huzoor E Akram Shafi E Mahsar ﷺ Is Dunya E Faani Se Parda Farmaye To Us Din Abubakar Siddique ٭ؓ Ke Hath Par Musalmanon Ne Beit E Khilafat Ki. 

Pehle Khalifa:-
Mansab Khilafat Par Faaiz Hone Ke Baad Hazrat Abubakar Siddique ٭ؓ Ne Islami Qalamro Main Waliyon, Aamilon Aur Qaaziyon Ko Mukarrar Kiya, Ja Baja Lashkar Rawana Kiye, Islam Aur Iske Baaz Faraiz Se Inkar Karne Waale Arab Kabail Se Jung Ki Yahan Tak Ke Tamam Jajeerah Aran Islami hukumat Ka Mateea Ho Gaya. Fitna Irtdaad Faro Ho Jane Ke baad imam Abubakar Siddique ٭ؓ Ne Iraq Aur Sham Ko Fatah Karne Ke Liye Lashkar Rawana Kiya. Unki Ahad Khilafat Main Irad Ka Bishtar Hisa Aur Sham Ka Badha Ilaqa Fatah Ho Chuka Tha. 

Wafat :-
 Peer 22 Jamadil Aakhir 13 hijri Ko 63 Baras Ki Umr Me khalifa E Awwal Sayyaduna Abubakar Siddique ٭ؓ Is Daare Faani Se Kooch Farma Gaye Aur Hazrat Umar Ibn Khattab ٭ؓ Unke Jaanaseen Hue. Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Ye Maan Na Hai Ke Hazrat E Shahaba E Kiram ٭ؓ Se Mansoob Tamam Aise Waqiyaat jo Un Ki Ala w Arfa Haisiyat W Makam Ke Khilaf Hain Al waqadi, Muhammad Bin Saaib, Saif Bin Umar Tamimi Jese Kazaab Aur waza Ishkhaash Ne Bayan Kiye Hain Aur un Hazrat par ilma Asma Arrijaal Ki Taraf Se Mastanad Kitabon Main Sakht zarah Bhi Mojud Hai aur un Baatil Kishm Ke Waqiyaat Tamam Hazraat Shahaba E Kiram ki Tosiq W Adalat par bilkul Bhi asarandaaz Nahin Ho Skte. Tamam Shahaba E Kiram ke jannati Hone Aur Hazrat Abubakar Siddique ٭ؓ Ka khalifa Bilafasal Hone Par Ahle Sunnat wal jamaat ka Ijma Hai Jo Quran Aur Tamam Sahib Aur Mastanad Ahaadis Se saabit Shudah Hai Jinke Raavi Ahle Sunnat wal jamaat Main Aadal Aur Saqah Tasawwur Kiye Jate Hain

Important Information:-


Posted By:- -Precious Light 

No comments:

Post a Comment